Sunday 21 February 2016

blog ki ranking kaise badhaye aur google search me top me kaise aane ke 7 fadu tarike in hindi

7 Things Your Competitors Can Teach You About Increase blog rank. apne blog ki ranking badha kar google scarch me top per kaise aate hai:-



hello friends aap yah post padh rahe hai iska matlab apne apna blog bana liya hai
ager nahi banaya to aap yaha click karke apna free blog banale
chaliye sidhe ham topic pe aate hai. aap sab to jante hai ki ek blog(website) ke
liye rank kitni inportent hoti hai chahe wo alaxa ki ya google ki ho. aaj ham blog ki
ranking badhane ke liye 7fadu tricks ke baare me batayege.......
google ranking



businessman bane click kare

#1.- Guest blogging se blog ki rank badhye.


guest blogging
apne topic se releted high traffic blog per guest post likhne apka bahut jyada fayda
hota hai. man lijiye ki aapke blog me 500 daly vistor hai aur apne kisi high traffic
blog jiske 50000/daly vistor hai usme ek guest post kiya hai to uski site se dely apki site
me ager 1000 vistor bhi aate hai to apki 1500/daly vistor ho jayege. yani apka 3 guna
profit hoga ise profit badhne ke liye 1month me kam se kam 2 guest post kisi high
traffic blog me jarur kare.isse apki blog ki ranking bhi badhti hai.

#2.- Social networking se blog rank kaise badhte hai.

social networking se blog rank kaise badhte hai
 friends aap sab jante ki aj kal social network caroro log use karte yadi traffic ki baat kare
to aap yaha se bhari matra me traffic laa sakte hai aur apne social midea per apne website ya
ya blog ka page bana kar use apne blog se jodkar apne blog ki ranking bhi bada sakte hai..

#3.- Site comment.

yah ek acha tarika hai apne blog ki rank aur traffic badhne ka apko bas itna karna hai ki
high traffic blog ko subscribe kar de jab unki nayi post aaye to bas sabse pahle comment
karne ki kosis kare aur usme apna link jarur chodde. ise apki ranking ke saath traffic bhi badhega...

#4.- question ke answer de.

 apne blog me puche jane wale sabalo ke answer jaldi dene ki kosis kare.. iske alawa
aisi kai site hai jisme log sabal puchte hai. jaise- yahooanswer.com usme ja ker apne website se releted topic ke question ka answer jarur de isse apki ranking to badhegi aur traffic bhi badhega.

#5.- Complate seo.

yadi apne blog banaya hai aur seo complate nahi hai to apko google ka 80% traffic nahi milega
aur aap blogging me successful nahi ho sakte isliye Seo complate kare......

#6.- Copycat na bane.

friends yadi aap dusro ke blog se copy karke kuch chije change karke use apne blog me post
kar dete hai to aisa bulkul na kare post apne se likhe kyuki google bahut advance ho gaya hai
aur aap yadi aisa karte rahege to google apki site ko search me show karna band karde ga aur apko traffic nahi milega. aur apki ranking hi kam ho jayegi isly copycat na bane........

 #7.- title bada aur jayda search me aane wale ho.

jab aap post ka title likhte hai to uspe jyada dhayn na dene ki galti na kare kyuki post ka
title hi apke 75% traffic dilata hai. title likne ke liye 5 chijo ka dhyan rakhe.
1.- us title ka use google me kam logo ne kiya ho
2.- jyada scerch kiye jane wale keyworld dale
    exemple- seo
3.- title ko chota na rakhe kyuki jitne jyada keyworld utne chance scerch me aane ke.
4.- question solver title rakhe.
    exemple- meta tags ko seo ke liye kaise jodaa jaye hindi me.
5.- title me kya, kaise ,how inka use jarur kare.
chaliye aaj ke liye bas itna hi. ager apko mera post pasand aya to
'LIKE' aur 'SHARE' jarur karde taki ye jankari dusro tak pahuch
sake.... kisi ko koi paresani to sidhe comment box me post kare.

 

 



 

3 comments:

  1. Aapne apna blog aacha banaya hai
    Blogging tips aur visitors increase karne ke liye visit
    trickycenter.com

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete